Sunday, August 14, 2011

Ruh ki galiyon se

Kisi daffa apne rooh se guzarish ki thi maine
Zara tham sa ja, zara ruk sa ja


Lekin us begane rooh na meri ek na suni
Bas chalte gaya, chlate gaya
Na jhuka , na chup hua


Aaj is jahan aa pahuncha hai
Kayi kashison ke bich kas-masa-hat se taiyerte hue
Ek ajoobe kinare pe tik sa gaya hai


Ab jab meri gunzaish hai
Woh daariya ko fande,
Age badhe
Woh ekdum se jaise tham sa gaya hai
Na saans leta hai, aur na saans lene deta hai
Ek ajeeb si ghootan hone lagi hai


Ab kiski sune, rooh ki 
Ya fir uski jo us duje kinare pe khade mujhe apni taraf kenche ja raha hai....

No comments: