Wednesday, August 17, 2011

Yeh kaali ghani raat
Yeh chamakti hui chandni


Woh chupa tim-timata tara
Woh bheegi gili reet ki meethi khusboo


Woh gum ho jane wala aalam
Woh kamseen fiza
Woh tanhai
Woh bebasi
Woh tadaap


Tin saaye, bas chale ja rahe hain
Us nishane ki aur
Jahan na koi rok hai, na koi thok hai
Ek doosre ke saaye banke
Ek doosre ke humdum banke


Ab aisi asmanjash mein pad gaye hain
Ab aisi kasauti kadam chum rahi hai


Hum chupe bhi to kahan
Hum gum hoye bhi to kahan
Charro taraf roshni ki chadar faiil chuki hai
Jain bhi kahan!

No comments: