Aaj achanak se is dil ne ek haseen pal dekha
Woh haseen pal jo sadiyoon se pinjre mein kaiid the
Kahin door ek ankhahi ansooni gunzaish ne akar liya
Usne ek adbhoot diwaar fandene ki koshish ki
Bolo bhala aisa kahin hota hai kya
Aapki ankhen kuch
Aur dil kuch
Sapne dekhte hain
Bolo bhala aisa kahin hota hai kya
Aapki kalam kuch
Aur maan kuch
Likhte chale jate hain
Lekin huzure-ala!
Aisa bhi hota hai
Ya fir aisa kahein
Aisa hi hota hai
Socha tha ki
Aaj kuch aisa bayan karenge
Aap bhi us mein kahin gum ho jayenge
Lekin is jhojhti hui kashish ne ek aisi karwat li
Hum kahin ekdum se kho gaye
Woh band pinjerika ke khwab wahin ke wahin reh gaye
Aur hum kahin aur ud gaye
Bolo Bhala!!
2 comments:
a nice thought..keep it up!!
Thanks Sukanya! :)
Post a Comment