Sunday, March 9, 2014

Meri ek tamanna thi

Tamannao ka gala ghotna asaan nahi hai
Tamannao ka gala ghotna muskil bhi nahi

Ek baar jo dafna diya to, use jagana namumkin hai

Ek baar jo apne se alag kar diya, use gale se lagana mere usoolon ke khilaf hai

Aisa fir se hoga, socha na tha
Aisa fir se hoga, socha na tha

Aur mera tazuurba yeh kehta hai
Tu chale chal apni raah pe
Tu chale chal apni raah pe

Kya pata kal  usi tammanna se fir roobaroo ho jaye tu!!


Your's
Maiin juda tumse!!
Ab tumhi se hai nibhana!!

2 comments:

A.M. said...

tamanao ka gala ghotna kayarta kehlati hai
sote huye ko jagana ek nayi subah laati hai
fir se nai,ye kahani baar bar dohrati hai
chalte chalte kya pata
wo tamana kab puri ho jati hai :)

Devasrita said...

Ahh! Someone's back ;)

Tammanao ka gala ek shqs tabhi ghota hai, jab uske pure hone ki koi gunjaish nahi rehti!

Fir ek tammanna jagi, ab aag se ulajh neki himmat nahi!
Fir ek tammanna jagi, ab pani mein behne ki fitrat nahi!