Saturday, January 4, 2014

Zahir si baat hai!

Zahir si baat hai
Ab in lamhon ki aadat si hone lagi hai

Zahir si baat hai
Ab in aasuon ki laat si lag gayi hai

Zahir si baat hai 
Maiin kahin ghum si ho gayi hun

Zahir si baat hai
Maiin kahin kho si gayi hun

Zahir si baat hai
Ab kahin chup jane ka maan karta hai

Zahir si baat hai
Ab apni shakhsiyaat pe mujhe shaq sa hone laga hai

Zahir si baat hai
Zahir karna bhi gawara nahi apko

Zahir si baat hai
Do labz bi bayan karna bhata nahi apko

Zahir si baat hai
Ki zahir karte karte, yeh bhul gayi
Maiin sirf zahir kar sakti hun
Zahir karna mera ek zariya hai
Mehsoos karna mera ek ansh hai
Woh ansh jiske hone pe bhi mujhe tajoob hone laga hai!
Yakeen to bohot sari baaton pe tha 
Par aaj us yakeen par se bharosa sa uth chuka hai!



Your's
Zahir karna to ek zariya tha!
Zariya jo kamjor tha!



No comments: